Sunday, 15 July 2007

More on leaving and being left

But then, if I am on the "being left" side, and those on the "leaving" side are unheeding, or bound by necessity, another song, written by Shakeel Badayuni, will find its way to my lips-

jaane vaale tera khuda haafiz
aaj mera salaam leta ja
mere dil ka payaam leta ja

jaane vaale tera khuda haafiz ...


main teri khaak hoon mere raahi

mujhko bhi saath saath aane de
iltaja hai ki raah mein apni
aaj palken zara bichhaane de

mujhse itna to kaam leta ja

jaane vaale tera kuda haafiz ...


alvida jaan-e-aarazu tujhko
gam ke maare salaam kehte hain
ye lutey ghar, ye pyaar ki galiyaan
ye nazaare salaam kehte hain
yaadgaaren tamaam leta ja
jaane vaale tera khuda haafiz ...

saans jab tak hai mere seene mein
main tera intazaar kar luungi
khush rahe tu ye hai dua meri

main to gam se bhi pyaar kar luungi
pyaar ka tu bhi naam leta ja
jaane vaale tera khuda haafiz ...

My sincere apologies to those unfamiliar with hindi. Anyone who finds a translation, or is able to translate it, please let me know. I cannot trust myself to do this task.